Asrar Zaidi

dil na de sath to gham kaise saha jaega

Asrar Zaidi

dil na de saath to ġham kaise sahā jā.egā

ki usī ghar meñ ye sailāb-e-balā jā.egā

ik musāfir hai vo us koī manzil nahīñ

jis taraf bhī qadam uTTheñge chalā jā.egā

maiñ to is jabr-e-musalsal meñ bhī lab-basta nahīñ

yuuñ samajh le tirā har tiir ḳhatā jā.egā

barf pighlegī to mausam bhī badal jā.eñge

pau phaTegī to ujālā nazar aa jā.egā

lamha lamha mire hone gavāhī degā

patte patte pe mirā naam likhā jā.egā

ruuh zaḳhm hai is par koī marham na lagā

zahr phailegā to nas nas meñ samā jā.egā

Top Urdushayar.com