hamāre  dil  pe  jo  zaḳhmoñ  kā  baab  likkhā  hai
isī  meñ  vaqt  kā  saarā  hisāb  likkhā  hai
kuchh  aur  kaam  to  ham  se  na  ho  sakā  lekin
tumhāre  hijr  kā  ik  ik  azaab  likkhā  hai
sulūk  nashtaroñ  jaisā  na  kījiye  ham  se
hamesha  aap  ko  ham  ne  gulāb  likkhā  hai
tire  vajūd  ko  mahsūs  umr  bhar  hogā
tire  laboñ  pe  jo  ham  ne  javāb  likkhā  hai
huā  fasād  to  is  meñ  nahīñ  kisī  kā  qusūr
havā-e-shahr  ne  mausam  ḳharāb  likkhā  hai
agar  yaqīn  nahīñ  to  uThā.iye  tārīḳh
hamārā  naam  ba-sad-āb-o-tāb  likkhā  hai