aañkh  bhar  aa.ī  kisī  se  jo  mulāqāt  huī
ḳhushk  mausam  thā  magar  TuuT  ke  barsāt  huī
din  bhī  Duubā  ki  nahīñ  ye  mujhe  ma.alūm  nahīñ
jis  jagah  bujh  ga.e  āñkhoñ  ke  diye  raat  huī
koī  hasrat  koī  armāñ  koī  ḳhvāhish  hī  na  thī
aise  aalam  meñ  mirī  ḳhud  se  mulāqāt  huī
ho  gayā  apne  paḌosī  kā  paḌosī  dushman
ādamiyyat  bhī  yahāñ  nazr-e-fasādāt  huī
isī  honī  ko  to  qismat  kā  likhā  kahte  haiñ
jītne  kā  jahāñ  mauqa.a  thā  vahīñ  maat  huī
is  tarah  guzrā  hai  bachpan  ki  khilaune  na  mile
aur  javānī  meñ  buḌhāpe  se  mulāqāt  huī