sahar  ne  andhī  galī  kī  taraf  nahīñ  dekhā
jise  talab  thī  usī  kī  taraf  nahīñ  dekhā
qalaq  thā  sab  ko  samundar  kī  be-qarārī  kā
kisī  ne  muḌ  ke  nadī  kī  taraf  nahīñ  dekhā
kachoke  ke  detī  rahīñ  ġhurbateñ  mujhe  lekin
mirī  anā  ne  kisī  kī  taraf  nahīñ  dekhā
safar  ke  biich  ye  kaisā  badal  gayā  mausam
ki  phir  kisī  ne  kisī  kī  taraf  nahīñ  dekhā
tamām  umr  gizārī  ḳhayāl  meñ  jis  ke
tamām  umr  usī  kī  taraf  nahīñ  dekhā
yazīdiyat  kā  añdherā  thā  saare  kuufe  meñ
kisī  ne  sibt-e-nabī  kī  taraf  nahīñ  dekhā
jo  ā.īne  se  milā  ā.īne  pe  jhunjhlāyā
kisī  ne  apnī  kamī  kī  taraf  nahīñ  dekhā
mizāj-e-īd  bhī  samjhā  tujhe  bhī  pahchānā
bas  ek  apne  hī  jī  kī  taraf  nahīñ  dekhā