ga.e  the  shauq  se  ham  bhī  ye  duniyā  dekhne  ko
milā  ham  ko  hamārā  hī  tamāshā  dekhne  ko
khaḌe  haiñ  raah  chalte  log  kitnī  ḳhāmushī  se
saḌak  par  marne  vāloñ  kā  tamāshā  dekhne  ko
bahut  se  ā.īna-ḳhāne  haiñ  isī  bastī  meñ  lekin
tarastī  hai  hamārī  aañkh  chehra  dekhne  ko
kamānoñ  meñ  khiñche  haiñ  tiir  talvāreñ  haiñ  chamkī
zarā  Thahro  kahāñ  jaate  ho  dariyā  dekhne  ko
ḳhudā  ne  mujh  ko  bin-māñge  ye  ne.amat  dī  hai  'manzar'
taraste  haiñ  bahut  se  log  mamtā  dekhne  ko