Manzar Bhopali

tum ho mahfil mein to meri chashm-e-tar dekhega kaun

Manzar Bhopali

Bhopal, Madhya Pradesh, India

1959
tum ho mahfil meñ to merī chashm-e-tar dekhegā kaun
chāñd ke aage bhalā dāġh-e-jigar dekhegā kaun
yaad ke sūkhe gulāboñ se sajā hai dil kā baaġh
zaḳhm ye guzre dinoñ ke ab magar dekhegā kaun
aap hī kī hai adālat aap hī munsif bhī haiñ
ye to kahiye aap ke aib-o-hunar dekhegā kaun
maiñ hī apnā mohtasib ban jā.ūñ varna dosto
gumrah-e-manzil huuñ yā huuñ raah par dekhegā kaun
bijliyāñ bhar paañv meñ aage zamāne se nikal
ban gayā jo tū ġhubār-e-rah-guzar dekhegā kaun
ek din mazlūm ban jā.eñge zulmoñ kā javāb
apnī barbādī kā mātam umr bhar dekhegā kaun
'manzar' apne ḳhuun se is shāḳh ko sarsabz kar
gar zabāñ miT jā.egī terā hunar dekhegā kaun
Top Urdushayar.com