tum  ho  mahfil  meñ  to  merī  chashm-e-tar  dekhegā  kaun
chāñd  ke  aage  bhalā  dāġh-e-jigar  dekhegā  kaun
yaad  ke  sūkhe  gulāboñ  se  sajā  hai  dil  kā  baaġh
zaḳhm  ye  guzre  dinoñ  ke  ab  magar  dekhegā  kaun
aap  hī  kī  hai  adālat  aap  hī  munsif  bhī  haiñ
ye  to  kahiye  aap  ke  aib-o-hunar  dekhegā  kaun
maiñ  hī  apnā  mohtasib  ban  jā.ūñ  varna  dosto
gumrah-e-manzil  huuñ  yā  huuñ  raah  par  dekhegā  kaun
bijliyāñ  bhar  paañv  meñ  aage  zamāne  se  nikal
ban  gayā  jo  tū  ġhubār-e-rah-guzar  dekhegā  kaun
ek  din  mazlūm  ban  jā.eñge  zulmoñ  kā  javāb
apnī  barbādī  kā  mātam  umr  bhar  dekhegā  kaun
'manzar'  apne  ḳhuun  se  is  shāḳh  ko  sarsabz  kar
gar  zabāñ  miT  jā.egī  terā  hunar  dekhegā  kaun