koī  bachne  kā  nahīñ  sab  kā  patā  jāntī  hai
kis  taraf  aag  lagānā  hai  havā  jāntī  hai
ujle  kapḌoñ  meñ  raho  yā  ki  naqābeñ  Daalo
tum  ko  har  rañg  meñ  ye  ḳhalq-e-ḳhudā  jāntī  hai
rok  pā.egī  na  zanjīr  na  dīvār  koī
apnī  manzil  kā  pata  āh-e-rasā  jāntī  hai
TuuT  jā.ūñgā  bikhar  jā.ūñgā  hārūñgā  nahīñ
merī  himmat  ko  zamāne  kī  havā  jāntī  hai
aap  sach  bol  rahe  haiñ  to  pashemāñ  kyuuñ  haiñ
ye  vo  duniyā  hai  jo  achchhoñ  ko  burā  jāntī  hai
āñdhiyāñ  zor  dikhā.eñ  bhī  to  kyā  hotā  hai
gul  khilāne  kā  hunar  bād-e-sabā  jāntī  hai
aañkh  vaale  nahīñ  pahchānte  us  ko  'manzar'
jitne  nazdīk  se  phūloñ  kī  adā  jāntī  hai