ik  makāñ  aur  bulandī  pe  banāne  na  diyā
ham  ko  parvāz  kā  mauqa.a  hī  havā  ne  na  diyā
tū  ḳhudā  ban  ke  miTā.egā  hameñ  hī  ik  din
sar  tire  dar  pe  isī  Dar  ne  jhukāne  na  diyā
muttahid  hone  kā  jazba  thā  sabhī  meñ  lekin
muttahid  hone  kā  mauqa  hī  havā  ne  na  diyā
tum  pe  chhā  jaate  shajar  bante  jo  nanhe  paude
tum  ne  achchhā  hī  kiyā  paañv  jamāne  na  diyā
vo  to  āmāda  thā  bandoñ  kī  shikāyat  sun  kar
kuchh  farishtoñ  ne  zamīñ  par  use  aane  na  diyā
aap  Darte  haiñ  ki  khul  jaa.e  na  aslī  chehra
is  liye  shahr  ko  ā.īna  banāne  na  diyā