ham  apne-āp  kī  pahchān  le  ke  aa.e  haiñ
na.e  suḳhan  na.e  imkān  le  ke  aa.e  haiñ
havā  ne  vaar  kiyā  to  javāb  pā.egī
ki  ham  charāġh  bhī  tūfān  le  ke  aa.e  haiñ
charāġh-e-qurb  se  kar  dījiye  unheñ  raushan
bujhe  bujhe  se  kuchh  armān  le  ke  aa.e  haiñ
javāb  de  na  sakegā  hamārī  bātoñ  kā
ki  aap  aa.ina  hairān  le  ke  aa.e  haiñ
in  āñsuoñ  kā  koī  qadr-dān  mil  jaa.e
ki  ham  bhī  'mīr'  kā  dīvān  le  ke  aa.e  haiñ
hamāre  paas  faqat  dhuup  hai  ḳhayāloñ  kī
jhulaste  ḳhvāboñ  kī  dukkān  le  ke  aa.e  haiñ
ye  zaḳhm-e-dil  nahīñ  ehsān  kī  nishānī  hai
ham  us  nigāh  kā  ehsān  le  ke  aa.e  haiñ
jo  pārsā  ho  to  kyuuñ  imtihāñ  se  Darte  ho
ham  e'tibār  kā  mīzān  le  ke  aa.e  haiñ
unhīñ  pe  saare  masā.ib  kā  bojh  rakkhā  hai
jo  tere  shahr  meñ  īmān  le  ke  aa.e  haiñ