Aziz Nabeel

moajaze ka dar khula aur ek asa raushan hua

Aziz Nabeel

Mumbai, Maharashtra, India

1976

mo.ajaze dar khulā aur ik asā raushan huā

duur gahre pāniyoñ meñ rāsta raushan huā

jaane kitne sūrajoñ faiz hāsil hai use

is mukammal raushnī se jo milā raushan huā

aañkh vāloñ ne churā raushnī saarī to phir

ek andhe hathelī par diyā raushan huā

ek vahshat dā.era-dar-dā.era phirtī rahī

ek sahrā silsila-dar-silsila raushan huā

mustaqil ik be-yaqīnī, ik musalsal intizār

phir achānak ek chehra jā-ba-jā raushan huā

aaj phir jalne lage biite hue kuchh ḳhaas pal

aaj phir ik yaad ātish-kada raushan huā

jaane kis aalam meñ likkhī ye ġhazal tum ne 'nabīl'

ḳhāmushī bujhne lagī, shahr-e-sadā raushan huā

Top Urdushayar.com