jo  kashmakash  thī  tirā  intizār  karte  hue
jhijak  rahā  huuñ  use  āshkār  karte  hue
kasīlī  dhuup  kī  shiddat  ko  bhī  nazar  meñ  rakho
kisī  daraḳht  ko  be-barg-o-bār  karte  hue
guzishta  saal  kī  āfāt  kab  ḳhayāl  meñ  thiiñ
nashemanoñ  ko  supurd-e-bahār  karte  hue
kisī  ne  apne  girebāñ  meñ  kyā  talāsh  kiyā
hamāre  raqs-e-vafā  kā  shumār  karte  hue
havā  ke  paañv  bhī  shal  ho  ke  rah  ga.e  aksar
tire  nagar  kī  fasīloñ  ko  paar  karte  hue
yahī  huā  ki  samundar  ko  pī  ke  baiTh  ga.ī
hamārī  naav  safar  iḳhtiyār  karte  hue
usī  ke  vāste  'sultān'  be-qarār  haiñ  ham
jise  qarār  mile  be-qarār  karte  hue