jiine  kī  tamannā  hai  na  marne  kī  tamannā
hai  aap  ke  kūche  se  guzarne  kī  tamannā
tajdīd-e-ta.alluq  kī  ab  ummīd  hai  jaise
Duubī  huī  kashtī  ke  ubharne  kī  tamannā
be-sāḳhta  aa  jā.iye  parde  se  nikal  kar
ā.īne  ko  rah  jaa.e  sañvarne  kī  tamannā
sūraj  ko  samundar  meñ  Dubo  detī  hai  har  shaam
ārām  se  ik  raat  guzarne  kī  tamannā
jannat  se  nikalvā.egī  'sultān'  tumheñ  phir
us  shoḳh  ke  shīshe  meñ  utarne  kī  tamannā