bāhar  hisār-e-ġham  se  faqat  dekhne  meñ  thā
uljhā  huā  to  vo  bhī  kisī  mas.ale  meñ  thā
yuuñ  bhī  ġhalat  umiid  kā  ilzām  aa  gayā
hālāñki  har  savāl  mirā  zābte  meñ  thā
duniyā  kī  fikr  tujh  ko  mujhe  thā  tirā  ḳhayāl
bas  itnā  farq  tere  mire  sochne  meñ  thā
har  shaḳhs  apne-āp  ko  samjhe  hue  thā  miir
taqlīd-e-kār  koī  kahāñ  qāfile  meñ  thā
patthar  vahīñ  se  aate  the  mujh  ko  navāzne
shīshe  kā  ik  makāñ  jo  mire  rāste  meñ  thā
'sultān'  hukmarāñ  thā  vo  har  lamha  zehn  par
mashġhūl  raat  din  maiñ  jise  bhūlne  meñ  thā