jhijak  rahā  huuñ  use  āshkār  karte  hue
jo  kashmakash  thī  tirā  intizār  karte  hue
kaTīlī  dhuup  kī  shiddat  ko  bhī  nazar  meñ  rakho
kisī  daraḳht  ko  be-barg-o-bār  karte  hue
havā  ke  paañv  bhī  shal  ho  ke  rah  ga.e  akasr
tire  nagar  kī  fasīloñ  ko  paar  karte  hue
yahī  huā  ki  samundar  ko  pī  ke  baiTh  ga.ī
hamārī  naav  safar  iḳhtiyār  karte  hue
kahāñ  vo  zaat  ki  jis  ko  sukūn  miltā  thā
tamām  rāhateñ  ham  par  nisār  karte  hue