Raees Niyazi

dil-o-nigah pe jis ko ho iKHtiyar chale

Raees Niyazi

dil-o-nigāh pe jis ko ho iḳhtiyār chale
rah-e-vafā meñ koī bhī na ḳhām-kār chale
hameñ ravish pe zamāne kī e'tibār nahīñ
hamāre saath zamāna hazār baar chale
ham apne vaqt ke aaqā ham apne daur ke shaah
magar ḳhudā na kare apnī pesh-e-yār chale
ye rahravān-e-mohabbat hī ḳhuub jānte haiñ
ki farsh-e-gul pe chale yā ba-nok-e-ḳhār chale
na rāhbar pe nazar aur na manziloñ kī ḳhabar
tire qadam-ba-qadam tere jāñ-nisār chale
hamāre ba.ad ke logoñ pe jaane kyā guzre
'ra.īs' ham to baḌe chain se guzār chale
Top Urdushayar.com