har  aa.ine  ne  kahā  ruḳhsat-e-ġhubār  ke  ba.ad
yahāñ  to  kuchh  bhī  nahīñ  hai  jamāl-e-yār  ke  ba.ad
zamāna  zer-e-nagīñ  thā  razā-e-yār  ke  ba.ad
vo  iḳhtiyār  milā  tark-e-iḳhtiyār  ke  ba.ad
ye  māntā  huuñ  adab  shart-e-ishq  hai  lekin
ye  hosh  kis  ko  rahegā  nigāh-e-yār  ke  ba.ad
paroñ  se  muñh  ko  chhupā  kar  qafas  meñ  aa  baiThā
chaman  kā  haal  na  dekhā  gayā  bahār  ke  ba.ad
tire  jamāl  ko  samjhe  tilism  ġhuncha-o-gul
fareb  khaa.e  bahut  ham  ne  e'tibār  ke  ba.ad
vo  jaam  jaam  nahīñ  hāsil-e-do-ālam  hai
jo  dast-e-shauq  meñ  aayā  hai  intizār  ke  ba.ad
ġham-e-firāq  kī  manzil  'ra.īs'  ḳhatm  huī
ab  aage  jalve  hī  jalve  haiñ  hijr-e-yār  ke  ba.ad