Raees Niyazi

ab ye aalam hai ki jis shai pe nazar jati hai

Raees Niyazi

ab ye aalam hai ki jis shai pe nazar jaatī hai
hū-ba-hū aap kī tasvīr nazar aatī hai
ḳhud ko tārīḳh kisī vaqt jo dohrātī hai
mere hālāt pe duniyā ko hañsā jaatī hai
yād-e-ayyām-e-bahārāñ bhī nahīñ vaj.h-e-sukūñ
ab to taz.īn-e-qafas hī mujhe bahlātī hai
barq ban ban ke girī hai mire dil par akasr
vo tajallī jo sar-e-tūr nazar aatī hai
aaj kuchh un kī tavajjoh meñ kamī paatā huuñ
zindagī maut se do-chār huī jaatī hai
dil bhar aatā hai mirā dekh ke nam aañkh koī
apne rone pe to ab mujh ko hañsī aatī hai
maiñ vo ik nañg-e-zamāna huuñ azal hī se 'ra.īs'
zindagī hai ki mire naam se sharmātī hai
Top Urdushayar.com