dil  diyā  vahshat  liyā  aur  ḳhud  ko  rusvā  kar  liyā
muḳhtasar  sī  zindagī  meñ  maiñ  ne  kyā  kyā  kar  liyā
dil  kī  ḳhātir  kufr  bhī  us  ne  gavārā  kar  liyā
ek  patthar  ḳhud  tarāshā  ḳhud  hī  sajda  kar  liyā
aap  kī  chāhat  kā  milnā  jaan  lūñgā  muft  hai
jaan  de  kar  bhī  agar  maiñ  ne  ye  saudā  kar  liyā
bāl-o-par  apne  salāmat  Dar  añdheroñ  kā  nahīñ
chaar  tinke  jab  bhī  phūñke  haiñ  ujālā  kar  liyā
dard  baḳhshā  chain  chhīnā  dil  ke  TukḌe  kar  diye
haa.e  kis  zālim  pe  maiñ  ne  bhī  bharosa  kar  liyā
'shauq'  jab  tak  saañs  hai  tab  tak  hai  ummīd-e-hayāt
kyuuñ  abhī  se  aap  ne  dil  apnā  chhoTā  kar  liyā