rūThe  haiñ  ham  se  dost  hamāre  kahāñ  kahāñ
TuuTe  haiñ  zindagī  ke  sahāre  kahāñ  kahāñ
duniyā  kī  bāzgasht  meñ  apnī  hī  hai  sadā
aise  meñ  koī  tujh  ko  pukāre  kahāñ  kahāñ
ka.abe  meñ  thā  sakūñ  na  kalīsā  meñ  chain  thā
tujh  se  bichhaḌ  ke  din  ye  guzāre  kahāñ  kahāñ
tū  thā  rag-e-gulū  se  ziyāda  qarīb-tar
DhūñDh  aa.e  tujh  ko  diid  ke  maare  kahāñ  kahāñ
taare  kahīñ  haiñ  phuul  kahīñ  haiñ  guhar  kahīñ
bikhre  hue  haiñ  ashk  hamāre  kahāñ  kahāñ
sham.a  bhī  muztarib  hai  patañgā  bhī  muztarib
pahuñche  haiñ  soz-e-ġham  ke  sharāre  kahāñ  kahāñ
fursat  mile  kabhī  to  shab-e-ġham  se  poñchhnā
TuuTe  haiñ  chashm-e-'shauq'  se  taare  kahāñ  kahāñ