laġhzish-e-sāqī-e-mai-ḳhāna  ḳhudā  ḳhair  kare
phir  na  TuuTe  koī  paimāna  ḳhudā  ḳhair  kare
har  ghaḌī  jalva-e-jānāna  ḳhudā  ḳhair  kare
terā  dil  hai  ki  sanam-ḳhāna  ḳhudā  ḳhair  kare
log  kar  Dāleñ  na  ḳhud  apne  jigar  ke  TukḌe
be-naqāb  un  kā  chale  aanā  ḳhudā  ḳhair  kare
dil  kī  baat  un  se  abhī  kah  to  ga.e  ho  lekin
koī  ban  jaa.e  na  afsāna  ḳhudā  ḳhair  kare
sham.a  bechain  hai  badnām  na  ho  jā.ūñ  kahīñ
par  jalā  baiThā  hai  parvāna  ḳhudā  ḳhair  kare
kaun  guzregā  tire  dār-o-rasan  se  hans  kar
ġham  hai  jaane  kahāñ  dīvāna  ḳhudā  ḳhair  kare
paañv  uThte  hī  nahīñ  'shauq'  jabīñ  hai  betāb
sāmne  hai  dar-e-jānāna  ḳhudā  ḳhair  kare