but  yahāñ  milte  nahīñ  haiñ  yā  ḳhudā  miltā  nahīñ
azm  mustahkam  to  ho  duniyā  meñ  kyā  miltā  nahīñ
ham-safīrān-e-junūñ  yuuñ  ham  se  aage  baḌh  ga.e
qāfila  kyā  hai  ġhubār-e-qāfila  miltā  nahīñ
apnī  sūrat  dekhnā  ho  apne  dil  meñ  dekhiye
dil  sā  duniyā  meñ  koī  bhī  aa.ina  miltā  nahīñ
de  diyā  hai  aap  ko  dil  ab  hifāzat  kījiye
har  ḳhazāne  meñ  ye  la.al-e-be-bahā  miltā  nahīñ
DhūñDhtā  phirtā  hai  mujh  ko  kyuuñ  fareb-e-rañg-o-bū
maiñ  vahāñ  huuñ  ḳhud  jahāñ  apnā  pata  miltā  nahīñ