Aijaz Asad

chaar su intishaar hai kya hai

Aijaz Asad

1986
chaar sū intishār hai kyā hai
ye ḳhizāñ hai bahār hai kyā hai
sab ko mashkūk tum samajhte ho
ḳhud pe bhī e'tibār hai kyā hai
savā neze pe chāhiye sūraj
jism meñ barf-zār he kyā hai
mujh ko manzil nazar nahīñ aatī
duur tak rahguzār hai kyā hai
koī aahaT talak nahīñ hotī
mere andar mazār hai kyā hai
ek pal bhī nahīñ mirā apnā
zindagānī udhār hai kyā hai
mere hamdam zarā batā mujh ko
ye javānī ḳhumār hai kyā hai
hai jo mujh se 'asad' gurezāñ sā
maslahat kā shikār hai kyā hai
Top Urdushayar.com