Aijaz Asad

mere zehn-o-dil par jo chhaya hua hai

Aijaz Asad

1986
mire zehn-o-dil par jo chhāyā huā hai
mujhe us ne yaksar bhulāyā huā hai
har ik naqsh-e-duniyā miTāyā huā hai
use maiñ ne dil meñ basāyā huā hai
bahut duur mahsūs hotā hai mujh ko
gale jis ko maiñ ne lagāyā huā hai
mujhe ḳhauf hai silvaTeñ paḌ na jaa.eñ
badan us ne apnā bichhāyā huā hai
tumheñ DhūñDne se nahīñ milne vaalā
nishān apnā maiñ ne miTāyā huā hai
bhaTakte haiñ sahrā meñ kitne musāfir
har ik naqsh-e-pā kā safāyā huā hai
yahī jā-nashīñ hai mirī mumlikat kā
baġhal meñ jo bachcha sulāyā huā hai
Top Urdushayar.com