apne  se  be-samajh  ko  haq  kī  kahāñ  pachhānat
'man-arafa'  ko  na  būjhā  'qad-arafa'  suuñ  jihālat
hai  farz  buujh  avval  apnā  pichhe  ḳhudā  ko
be-būjh  bandagī  hai  sab  rañj  aur  malāmat
jannat  kī  tū  mazdūrī  būjhā  hai  bandagī  ko
baḳhshish  nahīñ  hai  hargiz  juz  lutf  aur  ināyat
hirs-o-havā  meñ  paḌ  kar  haq  suuñ  huā  hai  bātil
phir  māñgtā  hai  jannat  kyā  nafs-e-bad-ḳhasālat
bin  qalb  kī  huzūrī  manzūr  kyuuñ  paḌegā
roza  namāz  rasmī  sajda  sujūd  taa.at
ma.abūd  ke  muqābil  aabid  ko  abadiyat  hai
ġhībat  meñ  chup  rijhānā  kyā  mahz  hai  ḳhajālat
tan  nafs  aur  dil  ruuh  sar  nūr-e-zāt  mil  kar
apne  meñ  haq  ko  paanā  hai  afzalulibādat
bin  piir  ke  ḳhudā  ko  paayā  na  koī  hargiz
kāmil  ko  kyuuñ  pacchāne  be-sidq  o  be-hidāyat
nahiñ  hai  'alīm'  ko  sach  taqvā  amal  pe  apne
dīdār  kā  sanam  ke  kaafī  hai  istaqāmat