'bahrī'  pacchāne  niiñ  use  gul  ke  so  vo  dam-sāz  the
chanchal  chhabīle  chulbule  maġhrūr  sāhab-nāz  the
niiñ  ḳhuub  dekhe  tum  use  vo  āshiqoñ  kā  taḳht  thā
misl-ए-sulaimāñ  bar-havā  dar-nīm-shab  parvāz  the
kyā  pārsā  kā  pairahan  aur  tujh  gadā  kī  gūdaḌī
mil  ke  so  apne  paañv  tal  jismāniyāñ  suuñ  paaz  the
ta.ammul  ke  tum  ko  duur  se  jo  bhuul  ga.e  apnā  pisar
vo  gosh-o-abrū  khīñch  kar  mizhgān  tīr-andāz  the
nādir  'alīmullāh'  kahā  ye  sher  'bahrī'  kā  javāb
ushshāq  dilbar  suuñ  sadā  ḳhud  hamdam-o-hamrāz  the