Alimullah

dilbar ko dilbari sun mana yar kar rakhun

Alimullah

dilbar ko dilbarī suuñ manā yaar kar rakhūñ
pītam ko apne piit suuñ gulhār kar rakhūñ
ek naum suuñ jagā.ūñ agar murda dil ke ta.iiñ
tā-hashr yād-e-haq mane bedār kar rakhūñ
rahtā hai dil har ek kā har ek kaam meñ ek
apnā ḳhayāl sūrat-e-parkār kar rakhūñ
distā hai mujh ko yaar kā ruḳhsār-e-gul-izār
tis kī ḳhushī suuñ tab.a ko gulzār kar rakhūñ
manke ko man ke lā.ūñ phirāne kā jab ḳhayāl
tasbīh badan kī toḌ ke ek taar kar rakhūñ
pītam ke baaj nahīñ hai mirā iḳhtiyār kuchh
mujh dil ko tis ke amr meñ muḳhtār kar rakhūñ
be-sar agar achhe to use sar karūñ atā
donoñ jahāñ meñ sāhab-e-asrār kar rakhūñ
andhe ke ta.iiñ 'alīm' lagā ishq kā añjan
sab vāsilāñ meñ vāsil-e-dīdār kar rakhūñ
Top Urdushayar.com