dilbar  ko  dilbarī  suuñ  manā  yaar  kar  rakhūñ
pītam  ko  apne  piit  suuñ  gulhār  kar  rakhūñ
ek  naum  suuñ  jagā.ūñ  agar  murda  dil  ke  ta.iiñ
tā-hashr  yād-e-haq  mane  bedār  kar  rakhūñ
rahtā  hai  dil  har  ek  kā  har  ek  kaam  meñ  ek
apnā  ḳhayāl  sūrat-e-parkār  kar  rakhūñ
distā  hai  mujh  ko  yaar  kā  ruḳhsār-e-gul-izār
tis  kī  ḳhushī  suuñ  tab.a  ko  gulzār  kar  rakhūñ
manke  ko  man  ke  lā.ūñ  phirāne  kā  jab  ḳhayāl
tasbīh  badan  kī  toḌ  ke  ek  taar  kar  rakhūñ
pītam  ke  baaj  nahīñ  hai  mirā  iḳhtiyār  kuchh
mujh  dil  ko  tis  ke  amr  meñ  muḳhtār  kar  rakhūñ
be-sar  agar  achhe  to  use  sar  karūñ  atā
donoñ  jahāñ  meñ  sāhab-e-asrār  kar  rakhūñ
andhe  ke  ta.iiñ  'alīm'  lagā  ishq  kā  añjan
sab  vāsilāñ  meñ  vāsil-e-dīdār  kar  rakhūñ