tezī  tire  mizhgāñ  kī  ye  nashtar  se  kahūñgā
abrū  kī  shikāyat  dam-e-ḳhanjar  se  kahūñgā
ham-rañg-e-sham.a  ishq  meñ  tere  huuñ  va-lekin
ye  soz-e-jigar  ātish  mujmar  se  kahūñgā
dekhā  huuñ  maiñ  jis  roz  se  tujh  husn  kā  jhalkā
hai  dil  meñ  kabhī  jāma-e-anvar  se  kahūñgā
tañgī  jo  tire  pista-dahan  kī  hai  sarāsar
sar-basta  suḳhan  ġhuncha-e-jauhar  se  kahūñgā
sairāb  na  huuñ  tujh  lab-e-shīrīñ  se  agar  maiñ
ye  tishna-labī  chashma-e-kausar  se  kahūñgā
būjhā  hai  'alīm'  aaj  ki  hai  husn  kā  tū  ganj
ye  ḳhush-ḳhabarī  āshiq-e-be-zar  se  kahūñgā