lagā  kar  ishq  kā  kajrā  nayan  ko
dikhā.ūñ  yaañ  setī  hubbulvatan  ko
bazāñ  le  jā.ūñ  har  lahze  meñ  ik  baar
ki  jab  lag  ruuh  suuñ  rishta  hai  tan  ko
rahe  aalam  meñ  us  kā  sair  aur  tair
na  dekhe  us  ke  kui  mastāne-pan  ko
chaman  suuñ  dil  ke  aalam  ko  ḳhabar  nahiñ
hamesha  dekhte  ḳhākī  badan  ko
kar  aa.uuñ  sair  dil  ke  bostāñ  kā
na  jaave  vo  kabhī  hargiz  chaman  ko
dikhā.ūñ  yaar  ke  zulfāñ  suuñ  yak  taar
na  chāhe  phir  kabhī  mushk-e-ḳhutan  ko
na  thā  aadam  athā  vo  zāt-e-mutlaq
sunā.ūñ  ye  sadā  ab  tujh  kiran  ko
sadaf  meñ  nain  ke  dikhlā.ūñ  gauhar
na  rākhe  aarzū  durr-e-adan  ko
nahīñ  gauhar  vo  haiñ  jyuuñ  chāñd  aur  suur
'alīmullāh'  jahāñ  ke  anjuman  ko