kiitā  kahīñ  pukār  ai  ġhāfil  biyā  biyā
phirtā  hai  kyuuñ  tū  bhuul  apas  kā  piyā  piyā
būjhā  hai  kyuuñ  ajal  ko  apas  se  ba.iid  kar
ġhaflat  meñ  chup  umar  ko  tū  zaa.e  kiyā  kiyā
ab  to  samajh  Tuk  ek  tirā  jaan  kaun  hai
paapā  hai  jī  ko  jis  ne  muā  nahiñ  jiyā  jiyā
lekin  nahīñ  hai  kaam  har  ik  ḳhaam  kā  yahāñ
āshiq  vahī  huā  hai  ki  jo  sar  diyā  diyā
pahuñchā  hai  jo  ki  ishq  meñ  manzil  ko  vasl  kī
be-shak  sakal  jahāñ  meñ  huā  be-riyā  riyā
jo  kui  qadam  ko  apne  rakhā  rāh-e-ishq  meñ
kahte  haiñ  āshiqāñ  kī  vo  manzil  liyā  liyā
donoñ  jahāñ  se  kaam  nahīñ  mujh  ko  ai  'alīm'
bas  hai  mujhe  karīm  diyā  so  hiyā  hiyā