husn  kā  dekh  har  taraf  gulzār
andalībāñ  hue  haiñ  dil-afgār
ishq  kī  mai  suuñ  jo  huā  sarmast
dil  huā  us  kā  ḳhāna-e-ḳhummār
yaar  aayā  hai  jab  muālij  ho
dard-e-furqat  meñ  nahiñ  rahā  bīmār
aap  āshiq  hai  husn  par  apne
hai  mire  jaan  kā  ajab  asrār
kahīñ  āshiq  kahīñ  huā  dilbar
kahīñ  ma.ashūq  kiiñ  huā  dildār
kiiñ  huā  shams  kiiñ  huā  hai  qamar
kiiñ  huā  nuur  kiiñ  huā  hai  naar
kiiñ  huā  arz  kiiñ  huā  hai  falak
kiiñ  huā  bahar  kiiñ  huā  ashjār
kiiñ  huā  ins  kiiñ  huā  hai  malak
kiiñ  huā  diid  kiiñ  huā  dīdār
kiiñ  payambar  kahīñ  huā  hai  valī
kiiñ  huā  shaiḳh  kiiñ  huā  zunnār
kiiñ  hai  qaazī  kahīñ  huā  muftī
kiiñ  huā  mast  kiiñ  huā  abrār
kiiñ  huā  jaan  kiiñ  huā  jānāñ
sab  meñ  hai  aur  kahīñ  sabhoñ  se  paar
haq  meñ  haq  ho  sadā  anal-haq  bol
dekh  mansūr  kyuuñ  chaḌhā  hai  daar
ik-panā  zaat  kā  'alīmullāh'
shar.a  bin  ġhair  kuchh  na  kar  takrār