ġhaflat  meñ  soyā  ab  tilak  phir  hovegā  hoshyār  kab
yaarī  lagāyā  ḳhalq  suuñ  pāvegā  apnā  yaar  kab
jhūTī  mohabbat  bāñdh  kar  ġhāfil  rahā  apne  suuñ  haif
bulbul  huuñ  sañpḌā  daam  meñ  dekhegā  phir  gulzār  kab
ye  ḳhvāb-o-ḳhur  farzand-o-zan  aur  māl-o-zar  zindāñ  huā
to  chhūT  kar  is  qaid  suuñ  hāsil  kare  dīdār  kab
hirs-o-havā  buġhz-o-hasad  kibr-o-manī  buḳhl  o  jahal
is  rah-zanān  suuñ  baach  kar  hovegā  bar-ḳhurdār  kab
is  nafs-e-kāfir-kesh  kī  ḳhaslat  tujhe  ma.alūm  nahiñ
gar  qatl  kiitā  nahiñ  use  tujh  ko  mile  dildār  kab
bin  piir  pahuñchā  nahiñ  kabhī  kui  sāhil-e-maqsūd  ko
mallāh  bin  kashtī  kahīñ  hotī  hai  dariyā  paar  kab
bar-haq  'alīmullāh'  kahā  rab  qaul  yahdī-maiñ-yashā
jannat  ke  tālib  ko  kaho  aave  nazar  dīdār  kab