tū  hai  kis  manzil  meñ  terā  bol  khaañ  hai  dil  kā  Thaar
dam  tirā  aatā  hai  khaañ  suuñ  bol  khaañ  jaatā  hai  bhaar
dam  ke  ta.iiñ  būjhā  so  kahte  is  ke  ta.iiñ  insān  hai
nahiñ  to  sūrat  aadmī  sīrat  meñ  hai  misl-e-himār
maiñ  kahtā  so  kaun  hai  aur  tū  samajhtā  hai  kise
kyuuñ  abas  maiñ  tū  meñ  paḌ  kar  be-abas  hotā  hai  ḳhvār
rāhbar  hai  kaun  terā  bol  tū  kis  kā  faqīr
faqr  kā  kyā  hāsilā  samjhā  mujhe  mat  ho  gañvār
āshiqāñ  ke  bazm  meñ  ik  rañg  ho  ai  bul-havas
mat  kahā  bulbul  naman  chauñDā  phulā  kar  tājdār
bahar  ke  ġhavvās  se  mat  bahs  kar  ai  ḳhām-tab.a
nahiñ  gayā  hai  umr  meñ  apne  tū  dariyā  ke  kanār
kaj-bahas  aatā  hai  karne  jañg  jab  ushshāq  suuñ
jyuuñ  ki  tair-e-haft-rañgī  ho  gayā  aa  kar  shikār
pūchhtā  aayā  huuñ  jo  kuchh  svaal  kā  mere  javāb
thartharātā  hai  abas  sīmāb  namne  be-qarār
tā  kahe  lag  jvaab  tujh  par  faqr  kā  luqma  harām
bazm-e-rindāñ  suuñ  nikal  jā  jald-tar  ho  kar  farār
shor  aur  ġhauġhā  abas  kartā  hai  kyuuñ  rañg  kar  libās
muñh  uThā  jaatā  hai  jyuuñ  be-qaid  shutr-e-be-mahār
ai  'alīmullāh'  na  kar  kaj-bahas  suuñ  svaal  o  javāb
hāsilā  tarfain  nahiñ  hotā  ba-juz  ġhauġhā  pukār