ilāhī  bulbul-e-gulzār-ma.anī  kar  lisāñ  merā
ba-rañg-e-abr-e-naisānī  suḳhan  gauhar-fishāñ  merā
sune  par  hoveñ  ushshāqāñ  ye  ma.anī  ramz  suuñ  sarmast
le  jāveñ  faiz  ġhavvās-e-haqīqat  haq-rasāñ  merā
latāfat  gulbun-e-husn  jahāñ-ārā  samajh  ai  dil
huā  hai  zulf  aur  ruḳhsār-e-jānāñ  āshiyāñ  merā
diyā  hai  āb-o-tāb-e-chashm  daana  ḳhāl-e-āriz  kā
kaho  sab  us  ko  ab  qātil  hai  yārab  dilsitāñ  merā
huā  hai  manzar-e-chashm-e-nazar  manzūr-e-ushshāqāñ
dar-o-dīvār  suuñ  distā  nishān-e-be-nishāñ  merā
'alīmullāh'  ḳhamosh  ab  ramz  asrār-e-ilāhī  kā
samajhtā  hai  kahāñ  har  shaḳhs  mastī  kā  bayāñ  merā