lā-makāñ  lag  āshiqāñ  ke  ishq  kā  parvāz  hai
āsmān  aur  arsh-o-kursī  un  kā  pā-andāz  hai
ik  tafakkur  un  kā  afzal  az-tā.at-e-hafta-o-sāl
sab  ḳhalā.iq  par  unhoñ  kā  is  sabab  e.azāz  hai
ālimāñ  aur  ābidāñ  kī  bandagī  sab  qīl-o-qāl
āshiqāñ  ke  dil  meñ  raushan  jo  ki  maḳhfī  raaz  hai
mūtū-qabla-an-tamūtū  haal  hai  ushshāq  kā
ālimāñ  ke  gosh  meñ  us  harf  kā  āvāz  hai
bul-havas  ko  sham.a  se  dil  bāñdhnā  mumkin  nahīñ
āshiqāñ  kā  is  sabab  zāhid  sadā  aġhmāz  hai
ḳhair  o  shar  suuñ  āshiqāñ  be-dil  nahīñ  aur  būjhte
rañj  o  rāhat  ishq  meñ  ma.ashūq  kā  sab  naaz  hai
Tal  ga.e  is  ma.arke  suuñ  ka.ī  hazārāñ  ai  'alīm'
jo  rahā  so  naam  us  kā  āshiq-e-jāñ-bāz  hai