ishq  aa  ham  suuñ  kiyā  jab  raam  raam
ham  kisī  haajī  ko  nahiñ  karte  salām
majlis-e-rindāñ  meñ  zāhid  nahiñ  sunā
hai  sabaq  avval  vahāñ  kā  jaam  jaam
gar  ḳhalāsī  hashr  kī  mañgtā  hai  tū
riñdgī  ke  pī  mai-e-gulfām  faam
pūchhtā  hai  kyā  hamāre  ramz  ko
be-samajh  be-ishq  zāhid  ḳhaam  ḳhaam
gar  dikhā  deñ  yaar  ke  kākul  kā  taar
sub.h  ko  aalam  kahegā  shaam  shaam
āshiqī  ke  mohkme  meñ  haiñ  nikāt
jān-o-tan  aur  aql-o-dil  sab  daam  daam
ai  'alīmullāh'  zāhid  ko  latāḌ
fāzilāñ  meñ  ḳhush  machāyā  dhūm-dhām