Shahnaz Parveen Sahar

chhoTi si ek uDan bhari aur bikhar gaya

Shahnaz Parveen Sahar

Lahore, Punjab, Pakistan

1952
chhoTī sī ik uḌaan bharī aur bikhar gayā
chiḌiyā kā boT pañkhe se Takrā ke mar gayā
sarmā kī chāñdnī thī javānī guzar ga.ī
jhulsā rahī hai dhuup buḌhāpā Thahar gayā
tā-sub.h jhilmilā.ī mire āñsūon meñ shab
bujhtā huā charāġh sitāroñ se bhar gayā
panhāriyoñ ne gāgaroñ meñ niir bhar liye
chaḌhtī nadī kā mast bahāv utar gayā
āvāz kī namī thī jo lafzoñ tak aa ga.ī
ik ghūñT āñsūon kā gale meñ Thahar gayā
hairat kī mūrtī banī maiñ dekhtī rahī
vo apne ghar ko chhoḌ ke aage guzar gayā
maiñ raftagāñ kī baat pe be-sāḳhta hañsī
anjām is hañsī kā bhī afsurda-tar gayā
ḳhālī galī meñ saare makāñ sochte rahe
kis samt is ko aanā thā aur kis nagar gayā
ik ham-safar jo mere ḳharābe meñ saath thā
sochoñ meñ jī rahā hai magar dil meñ mar gayā
chunarī talāsh karne meñ kuchh der ho ga.ī
dar par khaḌā huā thā jo ik ḳhvāb mar gayā
Top Urdushayar.com