Shahnaz Parveen Sahar

gilas ek kanch ka TuTa paDa hai

Shahnaz Parveen Sahar

Lahore, Punjab, Pakistan

1952
gilās ik kāñch kā TuuTā paḌā hai
mujhe lagtā hai vo ghar aa gayā hai
abābīleñ jo yuuñ chakrā rahī haiñ
sandesa āsmāñ tak jā chukā hai
ye ghar shāyad abhī taaza girā hai
koī malbe ke nīche jī rahā hai
ye pahle is qadar mailā nahīñ thā
na jaane āsmāñ ko kyā huā hai
idhar kuchh āhaTeñ hone lagī haiñ
koī ḳhālī makāñ meñ chal rahā hai
vahī jhūlā hai ab laḌkī nahīñ hai
akelā peḌ āñgan meñ khaḌā hai
'sahar' meñ ab kabhī rotī nahīñ huuñ
koī aañsū purānā chubh rahā hai
Top Urdushayar.com