Shahnaz Parveen Sahar

koi shafqat bhari sarkar nahin hai ghar mein

Shahnaz Parveen Sahar

Lahore, Punjab, Pakistan

1952
koī shafqat bharī sarkār nahīñ hai ghar meñ
jab se baabā kī vo dastār nahīñ hai ghar meñ
umr kī baḌhtī thakan saañs kī bīmār ghuTan
ek kamra bhī havā-dār nahīñ hai ghar meñ
dukh sunā.eñ kabhī ghabrā.eñ to sar Takrā.eñ
is tarah kī koī dīvār nahīñ hai ghar meñ
kabhī āvāz meñ marham kabhī māthe pe shikan
maiñ samajhtī thī adākār nahīñ hai ghar meñ
moh letā hai vo guftār se duniyā bhar ko
baat karne kā ravādār nahīñ hai ghar meñ
jaan le lete haiñ kuchh sard ravayye aksar
ham samajhte haiñ ki talvār nahīñ hai ghar meñ
vo ayādat ke bahāne se agar aa bhī gayā
us se kah denā ki bīmār nahīñ hai ghar meñ
kaun hai jo tumheñ jaate hue rokegā 'sahar'
kuchh rukāvaT koī inkār nahīñ hai ghar meñ
Top Urdushayar.com