charāġh-e-shām  thā  din  bhar  bujhā  rahā  koī
ġhurūb  shams  ke  hote  hī  jal  gayā  koī
bayān  kar  nahīñ  saktā  kabhī  mahāsin-e-ishq
koī  radīf  ġhazal  meñ  na  qāfiya  koī
rafāqatoñ  meñ  ajab  tarz-e-ajnabiyyat  thā
ki  saath  rah  ki  bhī  ham  se  rahā  judā  koī
ye  rañg  dard  ke  aate  nahīñ  suḳhan  meñ  yūñhī
nihāl-e-dil  pe  mire  zaḳhm  hai  khulā  koī
mire  safar  meñ  mirī  ham-safar  hai  tanhā.ī
ki  do  qadam  na  mire  saath  chal  sakā  koī
na  ain  par  hī  rukī  shiin  pe  na  qaaf  pe  hī
tumhārī  yaad  kī  manzil  na  intihā  koī