jo  gir  jā.ūñ  sambhalnā  jāntī  huuñ
havādis  se  nimaTnā  jāntī  huuñ
shikast-e-ā.ina  tak  baat  pahuñche
maiñ  is  darja  sañvarnā  jāntī  huuñ
hai  merī  sādgī  meñ  husn  aisā
tire  dil  meñ  utarnā  jāntī  huuñ
bharosa  rakhnā  tum  merī  vafā  par
maiñ  añgāroñ  pe  chalnā  jāntī  huuñ
nahīñ  qaa.il  maiñ  hargiz  ḳhud-kushī  kī
magar  maiñ  tujh  pe  marnā  jāntī  huuñ
huuñ  paanī  kī  tarah  fitrat  meñ  apnī
maiñ  har  sāñche  meñ  Dhalnā  jāntī  huuñ
biphar  jā.ūñ  to  jaise  lahar  koī
chaTānoñ  se  bhī  laḌnā  jāntī  huuñ
junūñ  ban  kar  jo  Takrā.ūñ  ḳhirad  se
hadoñ  se  bhī  guzarnā  jāntī  huuñ
duā-e-nūr  paḌh  letī  huuñ  aksar
balāoñ  se  nimaTnā  jāntī  huuñ
mujhe  ye  bhī  hunar  aatā  hai  jānāñ
tirī  qismat  badalnā  jāntī  huuñ
siyāsat  chhoḌ  dī  hai  maiñ  ne  varna
maiñ  terā  taḳht  ulaTnā  jāntī  huuñ
bhulā  detī  huuñ  aksar  ranjishoñ  ko
kahāñ  tujh  se  maiñ  laḌnā  jāntī  huuñ
vafā  tū  ne  nahīñ  kī  mujh  se  lekin
tujhe  maiñ  ab  bhī  apnā  jāntī  huuñ
tire  dil  par  jo  apnā  haath  rakh  duuñ
maiñ  terā  dil  badalnā  jāntī  huuñ