ai  ḳhirad  aur  junūñ  ḳhudā-hāfiz
ai  dil-e-be-sukūñ  ḳhudā-hāfiz
ruḳhsatī  apnī  zaat  se  chāhūñ
aaj  ḳhud  se  kahūñ  ḳhudā-hāfiz
mujh  ko  izn-e-mafāriqat  hai  dost
phir  na  shāyad  milūñ  ḳhudā-hāfiz
tujh  ko  mushkil  hai  to  judā.ī  kī
ibtidā  maiñ  karūñ  ḳhudā-hāfiz
ye  gumāñ  tak  na  thā  mujhe  ik  din
tujh  se  kahnā  hai  yuuñ  ḳhudā-hāfiz
ruuh  ko  karb  se  rihā.ī  de
mere  soz-e-darūñ  ḳhudā-hāfiz