karegā  yaad  hameñ  duur  ham  agar  jaa.eñ
is  ishtiyāq  meñ  jī  chāhtā  hai  mar  jaa.eñ
ye  kah  rahā  thā  hameñ  Dūbtā  huā  sūraj
safar  tamām  huā  apne  apne  ghar  jaa.eñ
tulūa-e-shams  kī  kirnoñ  ne  ye  payām  diyā
ujāle  bāñTte  jaa.eñ  jidhar  jaa.eñ
dikhāte  haiñ  jo  hameñ  aa.ina  kabhī  us  meñ
ḳhud  apne  aks  ko  dekheñ  to  aap  Dar  jaa.eñ
na  paar  lagne  kī  hasrat  na  Duub  jaane  kā  ġham
ḳhayāl-e-yār  ke  dariyā  meñ  jab  utar  jaa.eñ
ye  ghaav  hī  to  mirī  zindagī  haiñ  mere  tabīb
ḳhayāl  rakh  ye  mire  zaḳhm  hī  na  bhar  jaa.eñ