de  rahā  hai  samar  udāsī  kā
mere  dil  meñ  shajar  udāsī  kā
puure  tan  ko  banā  ke  miTTī  se
dil  banāyā  magar  udāsī  kā
mujh  se  ik  baar  tū  sabab  to  pūchh
ai  mire  be-ḳhabar  udāsī  kā
tū  mudāvā  na  kar  sakegā  kabhī
ai  mire  chārāgar  udāsī  kā
aañkh  vīrāñ  hai  zehn  gum-sum  hai
aur  dil  hai  nagar  udāsī  kā
shā.irī  be-sabab  nahīñ  utrī
ye  bhī  hai  ik  samar  udāsī  kā
kaif-āvar  thā  ibtidā  meñ  ishq
aur  baaqī  safar  udāsī  kā
pahle  tum  the  makīñ  magar  ab  to
dil  hai  muddat  se  ghar  udāsī  kā
kaa.ī  jamne  lagī  hai  manzar  par
ye  huā  hai  asar  udāsī  kā
hijr  kī  shab  kā  chāñd  aisā  thā
jaise  bū  nāma-bar  udāsī  kā
aañkh  se  uḌ  gayā  hai  tā.ir-e-naum
ḳhvāb  meñ  thā  guzar  udāsī  kā