kisī  ne  phir  se  lagā.ī  sadā  udāsī  kī
palaT  ke  aane  lagī  hai  fazā  udāsī  kī
bahut  uḌegā  yahāñ  par  fasurdagī  kā  ġhubār
ki  phir  se  chalne  lagī  hai  havā  udāsī  kī
zamīn-e-dil  pe  mohabbat  kī  āb-yārī  ko
bahut  hī  TuuT  ke  barsī  ghaTā  udāsī  kī
nazar  nazar  meñ  udāsī  dikhā.ī  dene  lagī
nagar  nagar  meñ  hai  phailī  vabā  udāsī  kī
kisī  tabīb  kisī  chārāgar  ke  paas  nahīñ
koī  ilaaj  koī  bhī  davā  udāsī  kī
koī  ilaaj  nahīñ  hai  to  phir  duā  hī  kareñ
ki  chhoḌ  jaa.e  hameñ  ye  balā  udāsī  kī
ai  āftāb  ye  aalam  tirā  ġhurūb  ke  vaqt
sikhā.ī  kis  ne  tujhe  ye  adā  udāsī  kī
zamīn-zādoñ  ko  virsa  milā  hai  aadam  se
huī  thī  ḳhuld  se  hī  ibtidā  udāsī  kī
ye  tere  dil  se  tirī  ruuh  meñ  utar  jaa.e
bichhaḌne  vaale  ne  dī  thī  duā  udāsī  kī
ye  dil  kā  kaasa  abhī  ḳhaam  hai  ai  kūza-gar
tū  aur  aañch  pe  us  ko  tapā  udāsī  kī