havā-e-sabz  kā  jhoñkā  koī  ġhuncha  khilātā  hai
ḳhizāoñ  kā  tilism-e-zard  āḳhir  TuuT  jaatā  hai
guloñ  ke  maḳhmaleñ  āñchal  namī  se  bhiig  jaate  haiñ
kisī  kī  yaad  meñ  shab  bhar  falak  aañsū  bahātā  hai
kisī  be-mehr  saa.at  meñ  tumhārā  muskurā  denā
shab-e-tārīk  meñ  jaise  sitārā  TimTimātā  hai
ta.āqub  titliyoñ  kā  par  uThā  laanā  parindoñ  ke
kisī  jugnū  ko  āñchal  meñ  chhupānā  yaad  aatā  hai
dhuāñ  uThtā  hai  yādoñ  kā  sulagte  dil  ke  pahlū  se
kisī  kī  surmagīñ  āñkhoñ  kā  kājal  phail  jaatā  hai