Syed Agha Ali Mehr

rangat use pasand hai ai nastaran safed

Syed Agha Ali Mehr

rañgat use pasand hai ai nastaran safed

pahne na kyuuñ vo rashk-e-chaman pairahan safed

bhātā hai us ko shīr-o-shakar talāzma

rakhtā hai apne daañt vo shīrīñ-dahan safed

baiThe haiñ gird sīmtanān-e-safed-posh

us māhtāb hai tamām anjuman safed

hai be-hinā bhī panja-e-nāzuk par ik bahār

hote haiñ ba.az ba.az gul-e-nāravan safed

maiñ rañg-e-chashm-e-vahshī-e-jānāñ se tañg huuñ

aadhā hiran siyāh hai aadhā hiran safed

rañgīni-e-libās se ahl-e-fanā ko kyā

hai ibtidā-e-dahr se raḳht-e-kafan safed

Top Urdushayar.com