kisī  aaseb  kā  saaya  hai  is  par  log  kahte  haiñ
paḌā  rahtā  hai  vo  hujre  ke  andar  log  kahte  haiñ
mirī  bastī  meñ  ik  buḌhiyā  hai  jo  sach-much  kī  Daa.in  hai
vo  khā  jaatī  hai  bachchoñ  ko  pakaḌ  kar  log  kahte  haiñ
har  ik  rishta  yahāñ  qaa.em  hai  bas  matlab  parastī  par
zamāne  meñ  yahī  raa.ij  hai  culture  log  kahte  haiñ
muazziz  shaḳhsiyat  hai  shahr  kā  ab  nāmvar  ġhunda
ki  ban  baiThā  hai  vo  pārTī  kā  leader  log  kahte  haiñ
sabaq  letā  hai  jo  bhī  ḳhāmiyoñ  se  apne  maazī  kī
vahī  jaatā  hai  mustaqbil  meñ  uupar  log  kahte  haiñ
ta.alluq  hai  mirā  bas  dostī  kī  had  talak  us  se
ġhalat  bāteñ  hī  lekin  kyoñ  barābar  log  kahte  haiñ
shikasta  naav  le  kar  'faiz'  nikle  ho  samundar  meñ
tumhārā  Duub  jaanā  hai  muqaddar  log  kahte  haiñ