toltā  kyā  mujh  ko  koī  jauharī  mīzān  meñ
maiñ  thā  merā  aur  paḌā  thā  ko.ele  kī  kaan  meñ
tum  se  to  hotā  nahīñ  hai  e'tirāf-e-fan  mirā
chand  jumle  maiñ  hī  kahtā  huuñ  tumhārī  shaan  maiñ
barsar-e-paikār  us  ko  dekh  kar  sab  shaad  the
jā  lagā  sāhil  se  vo  tinkā  magar  tūfān  meñ
saj  rahī  haiñ  phir  siyāsī  manDiyāñ  chāroñ  taraf
dekhnā  tabdīl  hogā  shahr  qabristān  meñ
ishq  meñ  sahrā-navardī  raas  kyā  aatī  mujhe
vo  thā  koī  aur  jo  phirtā  thā  registān  meñ
'faiz'  ye  mujh  ko  yaqīñ  hai  sāzishoñ  ke  bāvajūd
phūltī  phaltī  rahegī  urdu  hindostān  meñ